Latest SMS

aap ki muskurahat kabhi kam na ho
aapki aankhen kabhi nam na hoon
aap ko mille zamane ki her khushi
bhale us khushi me hum na hoon
...................

unse kehna k hum mazze me hain
bas unki yaaden satati hain
unki doori ka gham nhi hamme
bas zara palken bheg jaati hain
.....................

dil ko reza reza kardena hasrat thi unki
ye aap kia jaano kia fitrat thi unki
hum to unki aankhon me aansoo seh nhi sakte
par hum ko ruladena aadat thi unki
....................

zindagi me hameshah naye log mllenge
kahin ziyada to kahin kam millenge
aitbar zarasoch samajh kar karna
mumkin nhi k har jaga tumhe hum millenge
.......................

jo apna ho faqat ussi se gilla banta hai
gharon se karna kab gilla banta hai
usse kaho salikey se bewafai kare
meri wafa ka itna to silla banta hai
.........................

Comments