Poetry SMS Love Quotes Desi Girls and all you need. Daily Updated.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Badal ki tarah …..

Marti hoi zamee’n ko bachaana parra mujhay…
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay…

Woh ker nahee’n raha tha mairi baat ka yaqee’n…
Phir yoo’n hua k mar k dikhhana parra mujhay…

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha…
Che’hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay…

Us ajnabi say haath milaanay k waastay…
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay…

Yaadai’n thee’n dafan aisi k bad-az-farokht bhi…
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay…

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar…
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay…

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan…
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay…!!

..............................

wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi

Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi

Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASIR’ dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi!!!!!!

.......................

Ujalay apni yaadon k……

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye
.........................

Udaasi ka …..

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka

Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

‘Faraz’ Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !
............

Rona bhi parta hay

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo’n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza’n aaye tau phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee’n bhatee’n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hoo’n chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai

......................

Har shaks khudi ki masti main

Alfaz k jhoote bandan main
Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai…
........................

ye hasrath har jati hai

Zamane se sona tha mohabbat har jati hai,
Jo chahat ik tarafa ho wo chahat har jati hai,
Kahi par bhi duao ka ik lafz asar kar jata hai,
Kahi par barso ki ebadat har jati hai,
Mohabbat kab kisi ko doshmani ka dars day,
Ek arzoo see hai ke un ko bhol jai hum,
Magar un ki yaad ati hai ye hasrath har jati hai

..............

mere hamsafar


Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Per jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”
Ye talab kya k mera Khuda!

Naye ehad ki
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,
Wo ata kre tujhe manzlain,
Ye talab kya k mera Khuda!
Tujhe Bakht de,
Tujhe Taj de
Tujhe Takht de,
Mere Humsafer,
Mere Chara-ger,
Ye hai mohabbat ka khatan safer
Mere sath chalna zra soch ker
Mere pass zarr na koi hunar
Phir bhee dekh to mera hosla
Mere paas jo kuch, Sabhi tera
Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,
K jo mil saken mere Daam bhi,
Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;
Mere chara gr tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua
K gwahi de ga mera Khuda
Maine jub b us se talab kya!
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”
..........

No comments:

Post a Comment

Please Comment Here

Bottom Ad [Post Page]

| Designed by Brandlynd